Zakhm jo zakhm hi khaa ke gaye
Dil bhi hai khali kamre sa
Kamre kabhi jo na jhaankein gaye
Jaane kahaan dafna ke gaye
Pyaar mein marr mit jaate hum
Shukr hai, jaan bacha ke gaye
Jaise tabaah kar gaye ho rooh ko
Ye kaisa zeher hai mohabbat
Chain ek pal na kahin hai
Na marne ki humko ijaazat
Tum kuch neend uda ke gaye
Aur hum dil hi laga ke gaye
ChhooTta hai haath bharose ka
Shukr hai aag bujha ke gaye