Mere paas me sawaal hain kai
Kaho tumhare paas kya, jawab hain koi?
Agar haan toh do, zid na karo
Agar nahi to kya sawaal, lafzon ke hain guchhe hi
Mere paas me kahaaniyan kai
Jo bologe suna dun, ab kahoge ya nahi?
Agar haan toh lo, kaan idhar karo
Agar nahi toh kya kahani, baatein hain bas aur kuch nahi
Kehte ho ke khamoshi kehti hai fasaana
Par tumhari chuppi mujhko lagti ek bahana
Hai kahi to ek, par hain ankahi kai
Inme kinko sach main maanu, keh do, keh do na abhi
Utna apna tum mujhe maante ho ya nahi
Mere paas me waqt hai abhi
Kaho na saara tum par luta dun ya nahi?
Agar haan to lo, ek sadi rakho
Agar nahi to waqt kya hai, mann ka bas waham hai koi