Aur bas teri palkon ke saaye
Main ek phool aur tu suraj ki kiran (kiran)
Tu ek jheel aur main ek pyaasa hiran
Tu gehri neend mein tera ek swapan
Tu jalti agni mein teri hoon tapan (tapan)
Tujhse shuru meri khwahishein
Karne de duniya ko saazishein
Haan pada main tujhe kam ashk ho gaye khatam
Tootta nahi hai bharam rum bhi ho gayi khatam
Kyun tu mere saath nahi badle halaat
Sir mera ghoome par khaali kyun gilaas nahi
Teri aawaz mujhe har jagah sune
Kya hua khwabon ka jo khwab saath bune
Teri yaad mein Arijit Singh sunu
Teri yaad mein maine saale aib naye chune
Teri yaad mein khud ko kar doon main khatam
Duniya maadar**** maine bhi bech khaayi sharam
Hote haadse haan main khelu aag se
Baaki sab hai baad mein sab ye saale saanp se
Dushman mujhse kaanpte yaadein jala di teri
Dhoondhu tujhe khaak mein
So kam raha hoon waise milti thi tu khwab mein
Kaha tha aapne rahenge saath mein
Par sab adhoora sa reh gaya
Bhooli kasmein jo saath mein khaayi thi
Nahi samjha jo di tune safai thi
Shayad jhoothi teri baatein ye sachai thi
Roothi tu bhi kyunki mujhme burai thi
Tera badla nazariya zariya tu bhi ek tha
Mere rab ke main tere sang hi kareeb tha
Ab dekhoon jo tujhe to lage mujhe ajeeb sa
Galti kiski na pata khel ye naseeb ka
Aur main badnaseeb tha toot gaya wo bhi
Jo sapno ka beej tha loot gaya tu bhi
Main pyaar mein fakeer tha jo kheenchi thi tune
Main hoon aabhari us lakeer ka
Tere bin tere bin tere bin