LyricFind Logo
LyricFind Logo
Profile image icon
Lyric cover art

Valiente

Apple Music logo
Deezer logo
Spotify logo
Lyrics
Jaam jama jan shabab nahi
Is jamawade me mera koi khaas nahi
Is kala ka main soorma jab kagazon ki dhool khau to sone ke daam ko mile ghaas nahi

Jo miraaz bane baithe registaan ke
Dedu aag un khabon me hai jo paas nahi
Main aata baaz nahi khush hona tera laazmi hai
Hasle jab tak lage pata baatein thi mazaak nahi

Ye daulat bhi na sagi meri chaal chale peeche
Lage hath unke chhu na sake aag ke galeeche
Puchhe haal mera muskurake daat lekin peesein
Ye gaate hain kahaniyaan main gaau khali kisse

Kiske hisse likhi jannat yaha to saare panne laal
Yaha ek ek jana lage khali ka shaitaan
Main kholi jab turab to dabe saare hukam ikke fir
Koi hath dhoye daulat se koi haarta makaan

Maine bhot paap kare sare aam kare
Duniya rokthaam kare khud ke gungaan kare
Bhale karmo pe bhi to sabne bhot naam dhare
Fir bhi bhot kaam kare bade nuksaan kare

Bade bhugtaan bhare paale nakli humsafar
Maine Gairo ke kya jo khaye apno ke khanjar
Jinke kehne pe jata sabhi halaton se guzar
Wo aaj bolte hai kyu na jata main sudhar

Ye bolein mujhse mera khamosh rehna khalta
Main shaant nahi rehta to zamana kaise chalta
Jawaab nahi deta jo sawaal koi karta
Mere bolne ka lehza to vivaad khali karta

Tanne ke bera ke mera yaha naam kaisa chalta
Pehle jhuke mere aage fir kahi jaa ke suraj dhalta
Ye khaar khaare mujhse inka seena pada jalta
Mujhse palte hai sher mujhse mor nahi palta

Khaab kare band kitaab mein
Band aankho se jeene laga hoon zindagi
Mujhse milne aana baad me
Main neend se utha nahi hu abhi bhi

Na hi mujhe koi yaad ab
Na mujhe yaad rakhta hai koi bhi
Mujhse milne aana baad me
Ye neend hai ya nasha koi khabar nahi

Main mehnat-kash hu mehantaana woh aur kala hai sawaab
Main pehen ke na ghumta sharaafat ka naqaab
Woh daur lage pyara jisme meetha gham chhupa ho
Band ankho se jeeta tha main banke khuli kitaab

Mera naam hai Aadi hai jiske kaafiye kaafi
Log bolte baaghi, main khelu jaan ki baazi
Mere vairi hi na hore abhi maan ke raazi
Main Inhe offscene chhoru to ye maangte maafi

Koi mu na lage aake aisi soorat nahi hai
Hath chale jung me zabaan ki zarurat nahi haj
Kitne kaand kare betha aake dekh
Itne jaam bhare betha Intezaam ki zarurat nhi hai

Nazron me rakhe chor. Tu hua dost ka nahi
Pichhe kitna chaur le par aage bhaukta nahi
Main khud ko manu khuda mujhpe zor kiska chale
Mujhe khud-ka tha sahara kisi aur ka nahi

Mere karmo pe shaq hona hai lazmi bada
Maano Anaaj boya kisine Kisan ke siwa
Yaha aya na kisi babu ki chaat ke subah
Main ghamand nahi rakhta apni jaat ke siwa

Bhule bisre ye chaubare pade pair ni dekhte
Zameen Hawa paani apna gair ni dekhte
Tere laal ne maa jaane kitne khaab liye tod
Tabhi ghutne tika diye sare dekhte dekhte

Itna jale jee tera to khud ko yaar bole kyu hi
Ugle peeth peche zeher mu pe ghol meethe deke
Jo ye sochte ki mera kuch bigad lenge yu hi
Dole kaunse vehem me ye zamana mujhe leke

Jape raam naam chahe geeta pairo me padi ho
Main safayi nahi deta baat kitni bhi badi ho
Meri kala ki jani nahi mere hatho ki rekha
Maine mehnat se kamayi aayi jaisi bhi ghadi ho

WRITERS

Aditya Singh

PUBLISHERS

Lyrics © O/B/O DistroKid

Share icon and text

Share


See A Problem With Something?

Lyrics

Other

LyricIQ Analysis

Top Emotion

Enjoyment

Sentiment
Thumbsup Icon
Theme

Sexual