Sapne tu dekh mehnat tu kar
Safalta thodi hi dur hai magar
Kuch bhi mat chod sab haasil kar
Sunke vo baatein jo chaar log jo bolre
Sab toh hasenge bata de tu karke
Aage chalna pura soch samajh kar
Upparwale se aur karma se darkar
Choti si zindagi jee lena bharkar
Faltu ka tension mat lena tu sar par
Sapno ko sach kar akele chal kar
Jaado tona mantar nahi chalte hum par
24 ghanta yahape chalta bhavandar
Apno ka haath tu pakad lena kaskar
Nakli ka saath chod tu fhat fhat
Tendulkar Ambedkar Gavaskar Mangeshkar
Mehnat kari mehnat kari mehnat kari raat bhar
Isliye aaj hai yeh upar se upar
Gir girke ek din uthega tu haskar
Log toh bole tu kuch aur kar ha aur kar
Bolne wale baithe fukat hi fukat
Taiyar rehna kabhi bouncer ya yorker
Tadipaar kar dena har ball tu yaha par
Asli Mumbaikar me rickshaw tu uber
Mumbai rap scene jayega local se global
Bharosa rakhna tum khud par aur mujh par
Ek din machayenge hum bhot jald hum bhot jald
Bachpan se harkat kare bina darkar
Maa baap ko lagta hai hip hop music sar dard
Mujhe chahiye yeh hip hop aakhiri dum tak
Tabhi toh mujhe haasil hogi jannat
Kisko pata beta kal kya hoga
Kitno ne tera saath choda rasta moda
Sacchai sunke gira dil ka dhora ekdum pura
Zindagi ek daldal hai bohat hai gehra
Apne karam se puch le tu kitna dooba
Bars kitna baap baap baat me full rubaab
Asli ke saath saath aur jaali ko laat laat
Nas fhanka fhat fhat machega dhoom dhaam
Rehna tum chup chaap full mute pura sumsaam
Me karta hip hop aur tum karte tik tok
Hum asli mard baaki tum saale gud log
Yede sab shooter hai sab shaane sab sharp hai
Kon beta kon baap hai kon apna kon saap hai
Kisko pata har koi hai matlabi yeh sabko pata
Jo bhi kiya me mene khud se pucha
Osho sahi hai ki galat ab tu hi bata ab tu hi bata
Girayenge dhamake waha pe honge tum jaha pe
Kyunki hum kaha pe 56 ke yaha pe
Chal denge shot deke hil denge
Gaane se seekh denge sapno ko jee lenge
Sapno ke khatir hum bhi hum seh lenge
Sapno ko haqeeqat me badal denge
Sapne tu dekh mehnat tu kar
Sapne tu dekh sab haasil kar
Mic pe mic pe thukku zeher
Life nahi track pe kya karu ab
Dhyaan de kaam me baaki sab bandh
Mehnat ka khel hai mehnat hi hai sab
Let me dream bol de honge sapne sach