Chaar baje subah ke jaga raha saari raat
Kya likhu kya nahi samajh nahi aata yaar
Kuch nahi mere paas zindagi ye chale kaise
Kaam karu din raat par kamata nahi paise
Boht saare views gaano me hai aate mujhe
Log mujhe text kare kab ayenge tere gaane
Haa mere gaaney jaise seekh nahi bandagi ki
Kab hogi pata nahi shuruwat nayi zindagi ki
Pareshan kare roz roz ka jhamela
Ye gehre shabd leke saath main chala akela
Aur mera saath ye nibhate mere sunne wale
Sabkuch bura par saath mere sunne wale
Hai kaafi majburi majburi se hai doorie
Haa music bina meri zindagi lage adhoori
Hai music saans mera dhak dhak beat ye
Mastak pe dastak hai roz deti jeet ye
Jeetne ke dikhana hai waqt nahi mere paas
Sabko sunana mujhe shabd mere kuch khas
Par kaise jeetu lage manzil ye durr mujhe
Jab mere apne hi log kare bakwaas
Noice karu cancel headphone kaan me
Gaaney suno gaano pe laga deta hu jaan main
Meri aawaz jo sukoon deti kaano ko
Aur log pyaar kare boht mere gaano ko
Rukna nahi hai nahi rehna hai kaid mujhe
Apne hai nafrat aur pyaar dete gair mujhe
Mera pyaar meri geet leke badha aage
Raaste kathin Rapstar nahi piche bhage
Tabhi aaj bhi fikar nahi kya hu main
Itna pata hai bus dard ki dawa hu main
Marz tera theek hua gaana sun loop pe
Jo bhi karte hai bakwas raho chup be