Badalta sabka waqt hai tu zehmat kar zara sa
Sambhalke chalna raastey pe mehnat kar zara
Waqt sabka aata apna aayega zamaana
Dekho firse leke aaya naya geet ye deewana
To sambhalke chal tu paana tujhko manzil jo agar
Apne mushkilo se ladke bande kasle tu kamar
Meri zindagi mein kaafi jyda masle hai magar
Main ladta har din apni mushkilo se mujhme hai sabar
Main tumko kya batau lagta mujhko koi bhi na asli
Paraye lagte apne mujhko apne lagte nakli
Ye zindagi ki rookh ka kya bharosa kab palat ta
Ispe rakh le tu bharosa boht kar chuka to chakli
Ye zindagi bas ek baar milti karde kuch tu aisa
Kal phir baatein hongi aaj ki ki tera karma kaisa
Tu jaisa waisa hi tu zindagi se payega
Tu aaj jo bhi karm karta kal wo laut aayega
To dar ja bete ab bhi kuch na bidga tu sudhaar
Jo manzilo ke beech aati tod wo deewar
Tu aage badhja saath tere mehnat ye nibhayega
Naa aaya tha koi saath tere saath naa koi jayega
Badalta sabka waqt hai tu zehmat kar zara sa
Sambhalke chalna raastey pe mehnat kar zara
Waqt sabka aata apna aayega zamaana
Dekho firse leke aaya naya geet ye deewana