Senadheesh prabhu hai mera
Krus par apni jaan dekar tune
Humesha ke liye azaad kiya
Chanda taare suraj saare tune banaye
Woh bhi milkar teri mahima ko gaaye
Phir bhi un sabse jyada Pyaar tune mujhse kiya
Yaad rakhunga isse main sada
Andhe dekhe behere sune langde chal ne lage
Bhuko ko bhi tujhse khaana mile
Kaisa anokha pyaar prabhu tune mujhse kiya
Yaad rakhunga isse main sada