LyricFind Logo
LyricFind Logo
Profile image icon
Lyric cover art

Do Chaar Kadam

Apple Music logo
Deezer logo
Spotify logo
Lyrics
Do chaar kadam aur
Abhi mere saath chal tu

Do chaar kadam aur
Abhi mere saath chal tu

Ye aakhri sahar hai
Itni to baat rakh tu

Ye aakhri sahar hai
Itni to baat rakh tu

Kuch to hai jo
Tere mere beech
Abhi baaki hai

Na sahi ishq
Wo imtihaan
Abhi baaqi hai

Chhod ke mujhe
Tu is tarah
Chale jaayega

Ye sawaal
Phir umr bhar
Mujhe sataayega

Ki rok leta
Tujhe kuch aur
Aage badh kar

Zindagi shayad meri
Zaaya na hoti
Is qadar

Khata teri nahin
Shayad ye
Meri qismat hai

Yaqeen kar mujhe
Sirf tujh se hi
Mohabbat hai

Aisa nahin
Tujhse alag
Na reh paaunga

Par abad tak
Shayad adhoora
Reh jaaunga

Ab naye vaadon ka
Haq mera koi
Banta nahin

Magar tere siwa
Mujhe koi apna
Lagta hi nahin

Mera maazi hi nahin
Tu mera
Mustaqbil hai

Mere jahaan mein
Jo achchha hai
Tujh se haasil hai

Mere har qatre mein
Tera wajood
Shaamil hai

Ye to zaahir hai
Bas tu hi
Meri manzil hai

Bas ek baar
Apne bhi dil ki baat
Sun tu

Bas ek baar
Apne bhi dil ki baat
Sun tu

Do chaar kadam aur
Abhi mere saath
Chal tu

Ye aakhri sahar hai
Itni to baat rakh tu

Ye aakhri sahar hai
Itni to baat rakh tu

WRITERS

Prashant Kothari

PUBLISHERS

Lyrics © O/B/O DistroKid

Share icon and text

Share


See A Problem With Something?

Lyrics

Other