Puch merese kya inn alfaazon ki hai qeemat
Mai door bhagu jitna mere peeche aaye hakeekat
Mai bars nahi likhta hu insaanon pai thesis
Mai maanta hu hota bhagwaan allah aur Jesus shortcuts ke mamle mai atheist
Haven't made it yet toh hoga uska reason
Rap shit meri bitches aur gaadiyo se upar
No hate lekin na koi pyaar ke layak
Lekin Dum ghute joh tera jiske liye kya lagta hai tereko kya usko hoga voh yaad bhi shayad?
Karna hai joh karna khudse khudke liye mujhe mai ghamandi nahi launde
Mere jaisa na hai aadami shayad
Dil toota kitna uska bhi hisaab nai shayad
Dil toda kitna uska bhi hisaab nai shayad
Wafadaari seekha jaanwar se joh cheezein na bilkul insaanon ke layak
Toh puchh merese kya in alfaazon ki hai qeemat
Mere aas paas joh the voh saare kaha gaye log?
Zindagi hatheli pai koi choice mere saamne nai
Mai door bhaagu jitna mere peeche aaye haqeeqat
Jhoot bole khaali dil rakhne ke liye sorry
Bigger picture dekh kaise khush hai tu leke toffees?
Gaaya tune gaana tere hi aaye ni profits
Uppar wala terese kha raha hai teri knowledge
Maalum hai mujhe ye label marketing promotion target audience PR mujhko mat sikha
Cheez joh hu dekhra mai mujhko mat dikha, Tu Critique karega mujhko?
Mai khudka worst critique hu yaar
Daya kisi ke liye bheel khel perspectives ka
Haar kisi ke liye jeet khel perspectives ka
Joh tu feke khaate koi poori raat khel naseeb ka ajeeb sa ye jua hai lakeer ka
Chhooyein meri baatein inki rooh ko jaise Geeta
Asardaar samajhdaar khaali Umar taees saal
Loot lenge chain tera sona jaise tees maar khan aur mere aage inki chalti ni zabaan
Puchh merese kya in alfaazon ki hai qeemat
Mere aas paas joh the voh saare kaha gaye log?
Zindagi hatheli pai koi choice mere saamne nai
Mai door bhaagu jitna mere peeche aaye haqeeqat