LyricFind Logo
LyricFind Logo
Profile image icon
Lyric cover art

BLACK TEARS

Apple Music logo
Deezer logo
Spotify logo
Lyrics
Hook

Hota mehsoos ke saath nahi hai koi
Dil mein bechaini aur saansein bhi khoi
Dena jawaab aur sikha kamaana
Uss din se aankhein nahi roi

Veras

Kaano mein zeher
Aur gharon ko dekha hai toot te
Fir bhala kaise mein sota sukoon se
Khair
Manzil ka pata nahi
Ruk zara
Saans le
Sagar bhi bharta hai
Paani ke boond se
Paani ke boond se
Aaine ke bhitar
Ek chhupa insaan
Jo kehta hai
Aa mujhe dhoondh le
Aankhon mein dhool
Kiske jhonka nahi
Ghar ko chalaana tha
Ghar se tha bahar
Woh fir kabhi
Ghar ko woh lauta nahi
Soch ek umar sataati hai
Kam kaise hoga
Iss kandhe ka bojh
Shayad se zindagi
Behtar thi nange paon
Kyonki ab joote ke niche
Hai kaante ki nok
Ujaale ki bhookh
In aankhon mein
Bhaale se andhera aaj
Lekin tu kadmo ko
Kabhi na rok
Mein ruka nahi
Bhoolna chahta hoon
Beetein uss kal ko
Lekin woh deti
Ek mauka nahi
Jhooth pehne kapde
Haqeeqat ke
Asal mein haqeeqat
Kisine dekha nahi
Bhookhe pet sona manzoor
Lekin matlab se
Kisike choolhe par
Roti ko seka nahi
Sikha mein
Haath failaane se
Accha hai mehnat kar
Kyonki woh haathon mein
Kamyabi deta nahi
Kaafi saal pehle
Mein kho baitha khudko
Cheezein chhupa raha tha
Dil mein
Chhupa nahi paaya bas khudko
Aankhon ke aansu
Guzarte rahe
Seene se
Sidha siyaahi par
Maut ka darr nahi
In aankhon mein
Maut toh bandhi hai
Haath ke kalayi par
Neend mein dekhte nahi sapne
Hum sapno ko dekhkar
Sote hai roz bistar par
Aankhein nahi deti hai saath
Toh karwatein badle
Hum roz
Ashwat maa
Mein tere uss pati ka ansh hoon
Jisne teri zindagi barbaad ki
Mein nashe mein gum
Aur gaano mein pada
Mein santaan uss barbaad ki
Lafzon se
Panno par
Panna se aawaaz par
Kya ye deen hai kala ki
Ya phir hai shraap
Uss pita ki
Nafrat hai mujhe
Mere baap aur music se
Par dono bhi hai
Behte inn naso mein
Bejaan
Mein patthar ki murti hoon
Sab tol rahe mujhe yahan
Lafzon se
Kaanton ki zameen
Aur kaanch ka aasmaan
Uspar hai chal raha dil
Leke patthar ka vazan
Se dabb raha pair
Dukh raha dil
20 saal kaati
Uss aurat ne
Dukh mein
Abhi toh umar
Chain se beete
Meri manzil ki raah
Jo daulat de
Puri umar ka zeher
Toh zehen se mitte
Hum gareeb ki takleefein
Khatam
Ameeri pe fir
Takleef amiron ki
Dekh lenge hum
Jordan jalakar bhi
Roti ko sek lenge
Paise ki nahi
Toh maa ki dua ki
Bheekh lenge
Maa ki vajah se
Jeeta hoon raja ki tarah
Bas talwaar paise ki
Todd deti taaj ko
Maa phir bhi
Jodd deti taaj ko
Kamaana zaroori
Toh chhoda kitaab ko
Soorat toh chhod
Mein dekh nahi paaya
Pita ki raakh ko
Ek andar se aati aawaaz
Mujhe sambhaal lo

WRITERS

KRISHNA SINGH, PUNIT SHELAR

PUBLISHERS

Lyrics © O/B/O DistroKid

Share icon and text

Share


See A Problem With Something?

Lyrics

Other

From This Artist