Subha se raat tak ek hi dastoor
Main rahoon kia karoon kia karoon
Maqsad e Zindagi ko bhula raha
Hoon main kiu rozana rozana
Ye besukooni ki bekhayali ki
Ye dil ki baatein hain dil main rehti hain
Main har ghari har sama mubtala hoon
Ghumzada har jaga gumshuda hoon
Dil mera tor ke chal diye ho tum
Di hai kiu tumne esi saza
Neend aati nahi soch kr yehi
Ke bhala kia thi meri khata
Ye dil awaara hai ghum ka mara hai
Ye saansein chalti hain shaamein dhalti hain
Main har ghari har sama mubtala hoon
Ghumzada har jaga gumshuda hoon
Tere bina mera yaha kia hai
Tere siwa mera koi na hai
Teri muhabbat ka mujhko hai nasha
Meri hasi meri khushi tum ho
Meri kami mera sabhi tum ho
Teri hi yaadon main har pal main raha