LyricFind Logo
LyricFind Logo
Profile image icon
Lyric cover art

Dead Inside (Prod. by DRJ Sohail)

Apple Music logo
Deezer logo
Spotify logo
Lyrics
Likh to diya hai mene bhot kuchh hi baare tere
Khaamoshi adchan hai bebas ni mein
Zehen mein hai shore teri yaadon ka
Soo nahi paa raha hu chain se magar bechain ni mein

Na rooh ko sabar aur iss dil ko talash
Itna chahne se miljata humko bhi kaash
Sukoon ki hai baat
Teri baat hi ni karta
Gharwale khafa kisi se baat hi ni krta

Kya karu baat koi sunta ni meri
Smjhta ni jaante ni haalat kya meri
Roya kyu raaton mein khabar ni kisiko
Soya ni raaton se haalat hai meri

Mujhko hi malum sharafat kya meri
Nahi chahta mein karna vakalat bhi meri
Nahi karna yakeen to mat kar meri jaan
Mein to jaan chuka bhoolne ki koshish bhi kari

Bhoolne se masle ni hote yaha hal
Aaj dekha ni dhang se to dekhunga kal
Beshaq peeta ni krta hu koshish bhulane ki
The Rahul akele hi jee lega kal

Zaroorat ni teri ab kar na dikhava
Ek tarfa hi rehne de dil ye bechara
Tu koshish na kar mujhe beshaq bhulane ki
Yaadon mein tere nahi zikar hamara

Han hoti hai izzat yaha paise se
Sb dhyan rkhte hai jaib kiski halki ya bhari hai
Karam ni dekhte logo ke
Har koi dekhta yaha sirf bunglow aur gaadi hai

Kaise kama liya kaise bana liye
Janta ke sevak ne dhanda bana liye
Neta kii bhadwat hi kar karke kar karke
Kaanoon ko inhone sharminda jhuka diya

Kya keh skte hai aakhir hum inn sbko
Sunta ni koi to ghar beth ke soyenge
Aawaaz uthale to aaj hi inn sadkon pe
Varna kal bachhe inhi sadkon pe royenge

Chalte ni sadkon pe darte hai maut se
Saare khaamosh sb bik chuke hai note se
Beshaq akele tu kr rha to behtar hai
Khuda hai saath to fir darna kya maut se

Likhunga firse me naam tera verse mein
Meri kya galati aakhir mene to chaha hai
Milna na milna to khuda ki marzi hai
Abe khuda ne nikaah kya jaat se krvaya hai

Rehta hu nashe mein khudke akela mein
Deta nahi koi bhi dhyan mujhpe
Bolna to chahta hu mein bhi kisi se
Bss shart hai ki vo meri baat samjhe

Samjhta ni koi to likhta hu liye tere
Betha hu kamre mein tanhai se fere liye
Tu kahe to likhna bhi chhod dunga liye tere
Magar btao tum aaoge kya mere liye

Mujhe mujhse bachao koi
Paas mere aao koi
Saansein hi baki aazmaaishein bhi
Zinda nahi hu mein mere liye
Likhta hu tere liye
Jeene ki koi khaahish nahi

Tum aaye nahi
Ya fir aaoge tum
Mujhe kb tk yunhi tarsaoge tum
Tadapta hai dil
Aur zehen bhi sangeen haalaat mein
Kya mujhko bachaoge tum

Tum aye nahi
Meri khaahishein bhi
Ab akeli hai kamre mein saansein meri

Kya vo baatein teri
Meri saansein hi thhi
Jo jaate jaate tere saath hi gayi

WRITERS

Azad Singh

PUBLISHERS

Lyrics © O/B/O DistroKid

Share icon and text

Share


See A Problem With Something?

Lyrics

Other