Shankar Trishuldhari Nandi ki sawari
Chandra si sudh Roop ardhnaari
Mrityu ko aas dete Bhang prasad lete
Pal mein sab kuch bna aur pal mein kar Nash dete
Dino mein jab bhi dikha andhera hai
Bhole ki raato mein mila sawera
Kanth mein vish is vishv se gehra hai
Ant be-ant tera hi to basera
Janmo ki chinta na karmo ki parwaah
Dharmo mein bhed Na Pari na pariah
Aaye jo Ik kshan baba ke charano mein
Pal bhar ki nahi vo barso ki kirpa
Haan Baba ko pyaare sab bhakt niraale hai
Raaste kahatam sab tere hi dwaare hai
Vikaar hamare ab saare kinaare
Ye Bhatka bhi baba ab tere hawaale hai
Sthan tere vibhinn vibhinn
Anginat bhakto ko tum shakti dete
Gyan ke tum raaja ye kalyug bhi na chale bhole ke bin
Ye bhoomi ye Ambar ye chaand sitaare
Dekhe andekhe sab tere nazaare
Jo bhi hai tera hai tujh hi mein saare
Devo ke dev aur bhooto ke pyaare
Bhole ki bhakti bhav na bhool
Tu Dhauladhar main Dharti ki dhool
Jai jatadhari jalandhar ke janak
Trinetra dhari tera teekha trishul
Hile brahmand jab prachand
Sab se alag sab mein panap
Hath kamandal gale mein sarp
Har Har mahadev har taraf