LyricFind Logo
LyricFind Logo
Profile image icon
Lyric cover art

Mujhse Zyada Khush (feat. Katto)

Apple Music logo
Deezer logo
Spotify logo
Lyrics
Umar 22 saal mera naam jaroori nahi
Kabhi oye chotu idhar aa kabhi kabhi vo bhi nahi
Kabhi ishaare kabhi pukaare gaali deke
Maa kasam hoti majboori nahi lagata inko mooh hi nahi
16 umar thi karna pda shuru kaam ye
Chote kharche bade hote jaate daam
Lekin barkat ye bekaar bas bartan pe barkaraar main
Tarakki hoti nahi maano takdeer se takrar hai
Ab thak sa gya hu apne sab main gum bhulana chahta hu
Kiraaye ke kamre mein na khudke ghar bulana chahta hu
Main yaaro ko bhai bhi nikle gediyaan raato ko
Bike ki pichli seat pe baithke ainthke hath faila main bhi chillana chahta whoo
Main jeena chahta hu inke jaise peena chahta hu inke jaise
Naye naye kapde seena chahta hu inke jaise
Main chahta hu un ladkiyo se baat karu
Iskool jaau top karu
Inke jaise kharchu paise lekin kaise
Ye shyam bhai bhi naam ka hi hai
Meri khairiyat na sochne wala
Uski kismat mein sab aur main kismat ko kosne wala
Vo order kare nidar main darr ke parosne wala
Vo chode joothi thali aur main main ponchne wala
Sirf maa ka milta pyaar baaki duniya deti dukh
Main jalta par vaise bhi jalne ki aati mujhse mushk
Kyu ban na chahta uske jaisa main tu mujhse aake pooch
Vo tang mujhse kam vo mujhse zyada khush
Vo mujhse zyada khush
Vo tang mujhse kam vo mujhse zyada khush
Kyu ban na chahta uske jaisa main tu mujhse aake pooch
Vo tang mujhse kam
Vo mujhse zyada khush
Ye shyam puraane zamaane ka naam par chahiye tha mujhe bhi cool sa ek
School aur college fizool ka knowledge sab 24 ki umar mein bhoolta dekh
Karni na padti yun arzi ho jaati har marzi kubool aur ye
Bandiyan karti baatein khud aake mujhse agar
Bnda main hota mashhoor sa ek
par shit
Maa baap ke taane roz hi jaari
Main laachar mujhko khaane padti ye berozgaari
Main 5 saal se backseat pe baitha thakk gaya hu
Mujhko ban na nahi sawaari mujhko chahiye apni gaadi
Main bhi chahta mehange sapne branded kapde bada ghar
Kaash hota sam jaisa raees baap mera par
Ye saali zindagi kamini hai tu dekh sarasar
Vo jee rha hai mujhse zyada chaahe age barabar damn
Kismat ki chaabi uski gaadi start push
Main jalta nahi lekin auto ignition khud ba khud
Kyu ban na chahta uske jaisa main tu mujhse aake pooch
Vo tang mujhse kam vo mujhse zyada khush
Vo mujhse zyada khush
Vo tang mujhse kam vo mujhse zyada khush
Kyu ban na chahta uske jaisa main tu mujhse aake pooch
Vo tang mujhse kam
Vo mujhse zyada khush
They call me sam saala asli naam koi bhi nahi jaanta
Ye kaise dost bina paise dost koi bhi nahi maanta
Akelepan se bachne ko hi jaata college
varna fake degree lena mere liye in netaaon jaisa asaan tha
Kehne ko bandiyan ye ghume aage peeche
Lekin ek bhi is dil ke andar aayi ni kyun
Driver seat pe rakh du main kisiko bhi khareed ke
But i feel like there's no one to drive me home
Aaj main phone kiya mom dad aisa kabtak chalega
Vo bole kaam bahut zyada hai aane mein hafta lagega
Main bola ek din to mere sath baitho baat to karo
Aaj agar daant bhi doge na mujhko accha lagega
Brands ki kami nahi hai yahan armani gucci bata hai
Par shayad sahi naap maa ke sile mein hi aata hai
Ab khud ke kamre mein bhi mujhko lagne laga darr
Saala Itna bada ghar par har ek kone mein sannata hai
Mujhse accha ye chotu thode mein santusht
Shayad daulat ki pyaar ke aage keemat nahi kuch
Kyu ban na chahta uske jaisa main tu mujhse aake pooch
Vo tang mujhse kam vo mujhse zyada khush
Vo mujhse zyada khush
Vo tang mujhse kam vo mujhse zyada khush
Kyu ban na chahta uske jaisa main tu mujhse aake pooch
Vo tang mujhse kam
Vo mujhse zyada khush

WRITERS

Mayank Rawat

PUBLISHERS

Lyrics © IPRS, O/B/O DistroKid

Share icon and text

Share


See A Problem With Something?

Lyrics

Other

LyricIQ Analysis

Top Emotion

Sadness

Sentiment
Thumbsup IconThumbsup Icon
Theme

Sexual