LyricFind Logo
LyricFind Logo
Profile image icon
Lyric cover art

SOUL

Apple Music logo
Deezer logo
Spotify logo
Lyrics
Sathi faayda kya hai
Jeene ka koi kaayda na hai
Tumko lagti shayri humko lagti durdasha hai
Bhole ki krapa hai tu kehde to vish bhi pi lein
Syahi se sane jo vakya wo fir marta na hai
Likh ke kardun main Amar
Dharti pe mera safar
Thode karte hai kadar
Thode sun ke jaate dar
Dheere karta asar, kadvi dawai hu main
Man ka behkava, ye cheezein Maya ki banai hui hain
Thodi Aur thodi aur
Thodi aur dedo saans udhaar
Bas alvida kehne ko ae khuda
Thoda dil me pyaar thode ranj hain
Kuch leke nai jana saath
Sab yahi chhod ke jaunga
Thoda rukne do, laut nai paunga
Mahalon se sadko tak ghum ke aaunga
Shehron me gaanvo ko bhool nai paunga
Un galliyon ko fir niharun
Kuch chakkar ghar ke maaru
Purane mae yaaro se fir se mil lu
Jo shikwe the sab jaake mita du
Maafi maangu galti mana lu
Zindagi ek jaise hai ye jaadu
Fir titli pakdu, ek jugnu paalu
Mujhe ghar ka nai rasta maalum

WRITERS

Nitin Mishra, Ayush Khare

PUBLISHERS

Lyrics © O/B/O DistroKid

Share icon and text

Share


See A Problem With Something?

Lyrics

Other