Dil mein jigar aankh mein jwala bhi chahiye
Talwar chahiye na koi dhaal chahiye
Garhwaliyon ke khoon me ubaal chahiye ubaal chahiye
Bade chalo garhwaliyon badhe chalo
Bade chalo garhwaliyon badhe chalo
Dilon me aag hai devon ka saath
Hai pitron ki bhoomi ye bhoomi mahaan
Hai garhwali khoon sarpe junoon
Jai devbhoomi bolo shaan se
Main jeevan ki chinta ni kardu
Maa dhari devi ka mere sar pe haath hai
Awaaz buland aur aazad hai
Jeevan bhar chupa jo ab khada saamne
Yahan bail apraadhi ko aam
Aur godi ki baatein bhyi mudde ke naam pe
Kisi ko parwa ni kisi ko padi kya
Peeda pahadon me pahadi ki chali na
Har din hi sunu ki bika pahaad
Bal bahar ke vyakti ne plot hai khareeda
Toh kaise bachaoge sanskriti
Haan kise sunaoge aap beeti
Hora vinaash vikas ke naam pe
Kisko dein dosh ye janta ya raaj-neeti
Kisi ko dene se zimmedari
Kabhi boj inn kandho ka hoga nahi kam
Kisi ko kehne se bhrashtachari
Kya ho jayega system ka shudhikaran
Ye hum he se leke fir bechenge humein hi
Jodenge karenge khud he alag
Ab bhale he mitey wajood mera
Par kabhi ni rukenge mere kadam
Dilon me aag hai devon ka saath
Hai pitron ki bhoomi ye bhoomi mahaan
Hai garhwali khoon sarpe junoon
Haan bade chalo (Sailaab yeah)
Sunau me kisko pahad ki aap-beeti
Neta lootera baitha chalri raaj-neeti
Dhami ji ad chala reh daba ke
Par janta ke muddo pe dhyan zara bhi nahi (Na)
Jungle me aag pedo ka kataan
Aved khanan aur logon ki jaan
Aur ghanto tak rally samay ka hisaab nahi (Nahi)
Ye mantri VIP nawaab nahi (Haan)
Aspataal bane par ilaaj nahi
Ghanto lag jaate ambulance ko aane me
Tab tak parivaar chala lakdi dhoond ne (Facts)
Mehngayi ki pad rahi maar aisi
Gareeb ko koi bi chhut nahi (Bilkul Nahi)
Ye kaisi sarkaar hai paiso me andhe
Ye chande ke paise bhi loot rahi
Teerth sthalo ko business banaya
Tu jaldi hi khoyega jitna kamaya (Kamaya)
Karma ye laut kr sabhi ka aaya
13 ki tarah hoga fir safaya (Safaya)
Nadi pahad bacha lo (Bacha lo)
Reeti rivaaz bacha lo (Bacha lo)
Bade Chalo abhi bhi samay apne adhikaar bacha lo
Dilon me aag hai devon ka saath
Hai pitron ki bhoomi ye bhoomi mahaan
Hai garhwali khoon sarpe junoon