Sun le tu baat yeh, paas baith kar
Ya karoon baat yeh, raat se, raat bhar
Pehle sulae mujhe phir khwaab tere dikhaae
Yaad dilaae, Teri yaad dilaae
Chain dikhaae kabhi aur bechaini se milaae
Paas bulaae, Tere paas bulaae
Pyaar, kaha nahi ise kabhi
Jo bhi hai yeh, lage sahi
Pyaar, toota koi taara kahin
Maangu na main koi aur kabhi
Waqt hai, ret sa, yun hi phisal jaayega
Par be-waqt jo, kuch bhi kaha, sab kuch badal jaayega
Pehle bhigaae mujhe bin aag phir jalaae
Yaad dilaae Teri yaad dilaae
Kahaa bhi na jaae tujhe dil ko kaise samjhaae
Raah dikhaae, koi raah dikhaae
Pyaar, hona tera yahin kahin
Pyaar, toota koi taara kahin
Maangu na main koi aur kabhi