Aati khudpe daya Aur aata khudpe pyaar
Launde hai to rone ka na ji na koi sawal
Talab taliyo ki tabhi aansu hai dawat me
Dusra Tawayaf, pehla naam kalakar
Seems too easy, par hai too fucking hard
Door se devta har koi kareeb se darinda
Khoon se likha sab jo na Naseeb me likha huwa
Koi sala deta nahi haq hamesha hai cheen ke hi milta
Gaali du zyada coz I feel like it aah
Mai jeet ta raha ya fir mai seekh ke nikla
Sirf ladta hua milu na takleef me milta
Kyuki takleefo ka gala maine bheench ke rakha
Black or white, nahi koi midway hai bruh
Maine jitna bola dil se bola feel se bola
Sab waqif tujhse hote jab tu waqif jeet se hota
Hasil kismat se nahi hua to fir zid se hoga
Milta nahi logo se kya hi milke hoga
Kehte bada aadmi tu yaad kyu hi karega
Tabhi dil na lage jisse uske Muh bhi lage na
Jitni duniya hu dekhra utna fatta ye kareja
Mudkey mai pichey dekhu toh
Mudkey mai pichey dekhu toh
Duniya me kalyug, yug hai hai dhongiyon ka
Asli ko nakli kehte, nakli hai to asli hoga
Logo ko jhuth ki aadat hai lagi itni jyaada
Maine sach bola to kehte aisa kuch hai sach ni hota
Insaan ko insaano ne bandha hai kagazo se
Kagazo ke aage insaniyat padti halki thoda
Aaj bhi ye sach hai ki yaha kal ni hota
Sabse mehenga pada insano ko batein sasti hona
Ye duniya gol hai aur zindagi full circle
Maksad hota jeena ya jeene ko hai chaiye maksad
Kadr hoti insano ki yaha pe sabse jyaada mar kar
Daraya bhi wahi jaata sala jo rehta hai dar kar
Mai hi dekhta hu jyaada ya logo ne dekhna diya kam
Mai hu pyaasa hi reh jaata chahe kitne bhi dalu Kankar
Logo se Dard chipata hai mera ye dil hai taskar
Dhongi hu nafrat jinse unse bhi milna padta Hanskar
Aur bhi kisse dard ke par Kisi aur din
Aur bhi kadwe sach hai par kisi aur din
Aur bhi bure din honge par kisi aur din
Aur bhi ache din aane hai fir kisi aur din
Mudkey mai pichey dekhu toh
Mudkey mai pichey dekhu toh