Fir ik dafa tu laut ke aana
Jaane bhi de jo bolta hai zamana
Kya laazmi hai ye naraazgi batana
Jaane bhi de, ab laut tu aana
Dil nikla pyaar ki khoj mein badle mein mili dil pe chot
Aur fir yeh log bole dimaag se nai tu dil se soch
Kitaabein khaali bas leke ghume kandho bojh yeh
Mera kya hai main toh likhta hi rehta hoon yeh roz
Ye jhoote waado, toote naato, roothe yaaro se toh ho chuka hoon main pareshaan
Main chuke taaro ko inke puche sawaalo ke jawaab toh dedu par inki soch se tha pare gyaan
Meri baatein inn logo ki soch ko maare
Toh bole mujhe yeh kaatil
Ye kala hi meri hai duniya
Iske liye toh hai jaan bhi haazir
Main jeeta yahi aur ye ghume jaise koi bhatakte hue musafir
Jitni kam inme akal hai utni kam ego bhi hoti toh hote ye safal bhale income zero hi hoti par hoti kam akad aur dete humko na taane ye
Inn logo ke taane sehna toh naa raha aam
Woh khud meri samasya aur dete samadhaan
Ab kya bolu seedhe seedhe ki niklo zindagi se
Mujhe na chalna hai bheed mein
Bas karne do jo mera hai kaam
Main kehna na chahu mere dil mein aisa koi raaz hi nai hai
Bas majboor hoon kyunki sun ne ko koi raazi nai hai
Toh main bhi bhulu baatein jaise yaadein taazi nai hai
Main haar ke jeetu baazi mera woh andaaz hi nai
Woh khade hain khilaaf, kehte unhe koi aitraaz hi nai hai
Maa ke alava mere saath jo sada rahe
Aisi koi aawaz hi nai hai