Meri raaton ko chheen ke chaen ki khud woh neend le
Woh aafreen, woh naazneen par na kareem thae
Raat bhar hum dil mein liye dard soche
Beete voh kal, voh pal bhi kitne behtareen thae
Unki lautne ki koi aas naa hai
Har tareeka liya mene aazmaa fir bhi voh paas naa hai
Aur akele hum reh gaye zameen pe
Tere voh saare jhhoote bharam ab naa rahe
Tere diye hue zakhm kyu bhar hum naa sake
Zakhmo pe koi marham naa lage
Par fir bhi itne dard mein kyu mar hum naa sake
Hothon pe tu saware fir bhi kyu
Main khudse karna hoon sawaal ye
Ya sochna chhod du tere baare
Main chahu tujhko bhulana
Main chahu tujhko bhulana
Kabhi batayi tune baatein
Milti hain mujhe bas yaadein aap ki
Jo baatein kehna paata hoon main bas baaton mein
Dil ki voh baato ko likhta hoon main jazbaato mein
Saara din khoya rahu jo teri yaadon mein toh
Panne bharu main hoke bebas raaton mein
Toh khudse zyada humko tum ho pyaare
Kalam bhi chale toh likhta hu tere baare
Aur kal hum bhi sochenge ki tujhko bhulade
Tu ban chuki hai ik aadat
Fir bhi maangu main dua ki hamesha kare khuda teri hifazat
Main chahu tujhko bhulana
Main chahu tujhko bhulana