Mujhe khud ki nahi parwah
Kyoki aaj main woh banda nahi
Toh chalo pass mere tum aao na
Jaise tum manaati thi waise manao na
Jitne waadein tode tumne woh saare nibhao na
Door rehke Mujhse tum aise mat sataao na
Meri nazro se tum nazrein toh milao na
Jo baatein reh gayi woh aake tum btao na
Main khawabon me roj tumse milta hoon
Kabhi tum bhi gale toh mujhe lgao na
Tu kare kabhi iski baatein
Tu kare kabhi uski baatein
Tu samjhti joker aur main bana joker
Main nibhau saare rishtey naate
Tu thak chuki hai nibhaake
Door rehke tu khush hai rehti
Toh mere dil se bhi tera naam mita de
Milega na mujhsa koi jo kahe dil se tu mera hai
Main Karoon tera intzaar kya tujhe mera intzaar hai
Mujhe gale toh lagao na (Gale toh lagao na)