Woh akeli chalti nahi hai
Meri kami usko khalti nahi hai
Woh chahti the khulke hi rehna
To aage bhi unki yaha marji chali hai
Rooh hui door Dil hue choor
Pyar pr sawal mann majboor
Pr aaj bhi tujhe main maanu mera noor
Haq se svikar kiya tujhko
Bichda jo tujhse hua maloom mujhe
Sirf pyaar nhi duniya mana tha tujhko
Yaadon pr teri padi nhi dhool
Kyoki har roj usko saaf krta hu main
Tere pyaar ki tujhe parwah nhi
Ye sab soch ke roj tut ta hu main
Woh akeli chalti nahi hai
Meri kami usko khalti nahi hai
Woh chahti the khulke hi rehna
To aage bhi unki yaha marji chali hai
Baatein kadwi sach yahi hai
Tu mere liye ab kuch bhi nahi hai
Kyu meri nigahon se chup tu rhi hai
Anshu bahake thak chuka hu main
Ab tanha hi rehta hu main
Mere Panno pr giri jo boondein
Unse puri kitab bhar chuka hu main
Mujhe tadpa ke ghum rhi maze me
Aur tera yaar doob rha nashe me
Imtehan ki kesi ye ghadi hai
Na jaane hum kiss dal dal me fase hai
Woh akeli chalti nahi hai
Meri kami usko khalti nahi hai
Woh chahti the khulke hi rehna
To aage bhi unki yaha marji chali hai