Meri khwahishe meri hasrate tere aane se muskuraye
Jaise pyaasi mitti pe pehli baarish ki pehli boond jo aaye
Jab din dhale aasma talein kahi dur jaake main baithu
Tu banke jugnu si tanha raato me haule se jagmagaye
Khuda ki hai jo jaadugari
Khuda ki hai jo jaadugari
Meri manzile mere raaste bas tujhko hi ab pukare
Nayi karwate nayi chaahate ab badle se hai nazare
Mehfil saji ho shaame haseen ho hulchul machi ho jab dil mein
Tab gungunate hai tere geet hi mere armaan hai saare
Khuda ki hai jo jaadugari
Khuda ki hai jo jaadugari
Khuda ki hai jo jaadugari
Khuda ki hai jo jaadugari