Tere naam ka nasha jo sarr chada hai
Bin bulaye yun dard aa khada hai
Zaahir karna hi meri ik saza hai
Sach mera jo teri ranjishon se bada hai
Khud ko kho kar hai yeh woh pyaar
Aasan kaise hai mere yaar
Apna soche mera chhode saath
Kaash hota main bhi itna beraham
Jaali baatein kaali raatein
Tu ruk ja agar itna hai garaj
Kyun padi hai tujhe pyaar apna
Tujh se na ho payega (chal)
Jam kar keemat laga (laga-laga)
Main yun akela raha (wo-oh)
Unchi boli laga (laga-laga)
Mujh mein andhera raha (wo-oh)
Mujhe yeh bata tu laati kahan se hai
Nazar andaaz karke mujhe karti kyun hai
Pyaar mein andha jo hua main
Mera yeh pagalpann bhi mitt jayega
Aate hain log jaate hain log
Tere bina bhi jee lunga main
Hai har gham mujhe gawaara (haan)
Mehengi padti hai zamane mein
Ishq ko bhi waqt lagta hai
Aashiq ko harane mein (chal)
Jam kar keemat laga (laga-laga)
Main yun akela raha (wo-oh)
Unchi boli laga (laga-laga)
Mujh mein andhera raha (wo-oh)
Tere naam ka nasha jo sarr chada hai
Bin bulaye yun dard aa khada hai
Zaahir karna hi meri ik saza hai
Sach mera jo teri ranjishon se bada hai
Meri bebasi mere bas mein nahi
Teri berukhi mujh par hass ke gayi
Tujh ko khud se fursat kahan
Chahe jal jaye mera yeh jahaan
Meri haar mein tu jeet gayi
Har raat yun hi beet gayi