LyricFind Logo
LyricFind Logo
Profile image icon
Lyric cover art

Dard-e-dil

Apple Music logo
Deezer logo
Spotify logo
Lyrics
Kaisi khalish hai yeh
Ab in hawaaon mein
Dil ke tukde tukde
Bikhare hain in fizaaon mein
Tera hi chehra hai
Dhoop mein meri chhaon mein
Tanhaa hun tere bin
Tu rehta hai duaon mein
Kab se raha main mushkil mein
Dard bhara hai is dil mein
Kar dun bayaan is mehfil mein
Hun bezubaan
Dardedil
Dardedil
Dardedil mein
Mere zakhmon par tere ishq ka marham ho
Toote mere dil ki chahat yeh har dum ho
Bin tere in aakhon se baarish bemausam ho
Bheega bheega bikhara bikhara soona sa aalam ho
Kab se raha main mushkil mein
Dard bhara hai is dil mein
Kar dun bayaan is mehfil mein
Hun bezubaan
Dardedil
Dardedil
Dardedil mein
Kuch pal ki jaadugari
Phir judaai si ho gayi
Tere bin jiyein hum kaise
Dardedil mein
Mere dil ke is jahaan mein
Tabaahi si ho gayi
Saans kaise tere bin
Dardedil mein

WRITERS

Rohan Malhotra

PUBLISHERS

Lyrics © O/B/O DistroKid, C&C Digital Services OÜ (UniteSync), UNITESYNC

Share icon and text

Share


See A Problem With Something?

Lyrics

Other