Tabhiyt nasaaz aur mann ghulam
Main jaise choti machchli uske andar
Ab dil na bacha bas hai ik khandar
Har din hai ik naya bawandar
Maane na tu tere liye beeti hui baatein
Sang li na jaane kitni saugaatein
Har din tumhe dil ki baat batate
Tum par koi asar na kar paate
Haara main har pal pyaar ke aage
Pata tha ishq ke hote kachche dhaage
Mera mann bas teri ore hi bhaage
Kuch ho aisa ke yeh neend se jaage
Mile na mujhe ab sukoon ka bahana
Aisa koi din nahi ke aansu baha na
Dil ka sach roz tumse kaha na
Rishta ab yeh kahin ka raha na
Tabhiyt nasaaz aur mann ghulam