Apne sheher ka ye gaana hai
Yahaan dheemi dheemi life hai
Yahaan dheemi dheemi life hai
Poiya se sadar, faili ye khabar
Ladka macha raha ek, naam uska Rover
Track ye tumhara, flow isme local
Agra ke naashte ka spice isme proper
Yamuna kinaare ki hawa mein behkar
Main yahaan tak hu pohucha aur tum sab ne suna
Mehtab ke baaghon ka panchi main khulla
Sirf pankh nahi failata, flow pethe se meetha
Shahjahan se seekha, history mein aana hai
Taj wale gumbad se upar tak jaana hai
Audi ya auto, sab mein bajana hai
Agra ka dabra, ye mantra sikhana hai
Buland darwaza main, ooncha kuch socho
Thulle ne pakda, color wala note do
Mujhko na roko, main udne ke layak
St. Peter's ka ladka putting water on fire
Volume bhada do, bhada do
Ab halke mein na lo humein halke mein na lo
Yahaan dheemi dheemi life hai
Yahaan dheemi dheemi life hai
Screw thoda dheela to pagal khaane chal
Car mein hi scene on, side mein lagakar
Highway par jaakar, speed humne bhada di
Laal batti St. John's pe gaadi bhi bhaga di
Paise ka khel sab, mehengi hai aazadi
Sardi ke mausam mein, sarr tak yahaan razai
Goron ka aana, since 1947
Angrezon ke saath humne photo khicha li
Rap ya qawalli, ab sab yahaan pe bajta hai
Zada koi bhadka to bol tera ghar kahaan hai
World famous top pe, joote ka dhanda hai
Agra ka dabra ek gaana to banta hai
Sab humko jamta hai, de do bas laake
Dilli gate ki chai, fatt se pee jaate
Screen pe ye chalwa do dhakran pe jaake
Ab halla macha do sab sadko pe gaa ke
Ye jaadu wala maamla hai kya
Volume bhada do, bhada do
Ab halke mein na lo humein halke mein na lo
Yahaan dheemi dheemi life hai
Yahaan dheemi dheemi life hai