LyricFind Logo
LyricFind Logo
Profile image icon
Lyric cover art

Has Ke Dikha (feat. Rasp & Riyashi)

Apple Music logo
Deezer logo
Spotify logo
Lyrics
Muskurana muskurana
Muskurana bhool na jaana
Roz ke banjar karmo mein
Muskurana bhool na jaana
Has ke dikha
Thoda has ke dikha
Karta wo chal
Jo dil ne kaha
Thake ye safar
Bas chalta tu ja
Ab has ke dikha
Fir has ke dikha
Has ke dikha
Thoda has ke dikha
Fizool udaasi
Khudgarz jahaan
Hai dil jab ye raazi
To kaisa darna
Ab has ke dikha
Fir has ke dikha
Hasi ki to kami
Par hasne wale bhot hain
Cashback ka zamaana
Jhoote kasme waade bhot hain
Khud ke tere sapne
Haqeekat mein leke aane hain to
Tehelka macha na
Suraj ko de de roshni
Chal
Koi yahaan pe tera boss nahi
Office mein bharte excel mein
Kab khaali zindagi ho gayi
Chal
Sambhal ke chal ab khauf nahi
Zindagi chalti marzi se
Ye subway wali sauce nahi
Haan haan
Haste khelte chehre te
Aankh churaate pehle the
Haath chudaate bhaage the
Der se so ke jaage the
Parwah nahi hum aage the
Latak ke chhat se jhaake the
Ab kal ko kal mein jaane de
Sar utha, upar nikal ke
Ooncha ho, zameen pakad ke
Bheegna nahi, dushman se darr ke
Bin baadal jab paani barse
School apna door tha nahi ghar se
Exam hai kal to aaj hum padhte
Jeb mein kharre teacher padke
Class ke saamne murga bante
Hum class ke saamne murga bante
Hum class ke saamne murga bante
Jeb mein kharre teacher pakde
Hum class ke saamne murga bante
Has ke dikha
Thoda has ke dikha
Karta wo chal
Jo dil ne kaha
Thake ye safar
Bas chalta tu ja
Ab has ke dikha
Fir has ke dikha
Has ke dikha
Thoda has ke dikha
Fizool udaasi
Khudgarz jahaan
Hai dil jab ye raazi
To kaisa darna
Ab has ke dikha
Fir has ke dikha
Upar kyu tujhko jaana hai
Tu aasmaan ko neeche la
Bura kyu door bhagaana hai
Tu achaayi ko kheeche ja
Jo nahi mila wo na mile
Jo hai wo ab wahi sahi
Jo kal ki baat hai kal mein chodh
Wo baat ab baat na rahi
Jo kal ki baat hai kal ki baat hai
Usko kal mein chodh kal mein chodh
Wo baat ab baat
Baat ab baat
Wo baat ab baat na rahi
Jo baat hi baat na rahi
Kya mila wo soch ke
Farak kise hai padta
Magarmach ke aasu poch le
Depend nahi hai hona ab
Independent bhot rahe
Andar ki aag ka chote
Tu hi to bas ek source hai
Sirf copy pen nahi
Connection hai kuch soul se
Nakli ye sab log
Peeth peeche hi kyu bolte
Jaldi jaldi baat kar
Door hai mujhko jaana
Phone nahi kaata
Mumbai ka call hai hold pe
Has ke dikha
Thoda has ke dikha
Karta wo chal
Jo dil ne kaha
Thake ye safar
Bas chalta tu ja
Ab has ke dikha
Fir has ke dikha
Has ke dikha
Thoda has ke dikha
Fizool udaasi
Khudgarz jahaan
Hai dil jab ye raazi
To kaisa darna
Ab has ke dikha
Fir has ke dikha
Muskurana muskurana
Muskurana bhool na jaana
Roz ke banjar karmo mein
Muskurana bhool na jaana

WRITERS

Rohan Verma

PUBLISHERS

Lyrics © O/B/O DistroKid

Share icon and text

Share


See A Problem With Something?

Lyrics

Other

LyricIQ Analysis

Top Emotion

Enjoyment

Sentiment
Thumbsup IconThumbsup Icon
Theme

None