Netabaazi wale rakhte dum
Pehle maarein baad mein poochein hum
Bhagwaan ke naam pe milta sab
Sabse ameer aur sabse gareeb
Rehte saath par kitne kareeb
Karte baat par kitne habib
Tehkiqaat bhare kisse ajeeb
Mujrim yahaan hota shareef
Encounter ki jhoothi saazish
Panne palat dete kehke bas itna
Jo milta hai jisko wo uska naseeb
Par footpath pe bheed hai
Fact vact saare jeb mein chupaake
Jet vet runway pe lagaake
Faraar hain saare gadaar wo sab
Team banate jo cricket mein aake
Bhari hain aakhein pet hain khaali
Harr lal batti pe bas yahi nazaare
Inki suraksha kiske hawaale
Saara donation ye jaata kahaan pe
Funds ke naam pe kyu ye kamaate
Sirf le lete bas fir kuch nahi batate
Kisi ke daam kisi ke munaafe
Gehri ghaatiyon mein dafan insaaf hai
Netabaazi wale rakhte dum
Pehle maarein baad mein poochein hum
Bhagwaan ke naam pe milta sab
Netabaazi wale rakhte dum
Pehle maarein baad mein poochein hum
Bhagwaan ke naam pe milta sab
Band note huye kaale kaam nahi
Thoke gaye sare aam yahin
Khade the jo pehle sach ke saath
Gharon mein baithe hain aaj wahi
Na baat nayi harr gully mein dange hain
Katte hain log jaise katti patengein hain
Bhadke hain log jinki zindagi ghamand mein hai
Haath mein hai steering par pilot samajte hain
Log churchgate se rajghat
Baar baar bas tareekh pe tareekh
Court kacheriyaan deri ki varis
Karo karo isme humko bhi shaamil
Aazad hindustan nahi 1945
Tel ki kami par ho rahi hai maalish
Desh ki zami pe ho rahi hai saazish
Sone ki chidiya jahaan udd ke hai gayi
Ab aa jaaye wapas bas ye hi guzaarish
Netabaazi wale rakhte dum
Pehle maarein baad mein poochein hum
Bhagwaan ke naam pe milta sab
Netabaazi wale rakhte dum
Pehle maarein baad mein poochein hum
Bhagwaan ke naam pe milta sab
Kuch bhi chal raha hai kuch bhi
Maaro ya maro maaro ya maro
Yahi hindustan ka sach hai