Dhalti hain shamein or sehmey se hum
Mein kamre me band rehta sab kuch hai numb
Tu shayad pari thi insaan hain hum
Par ab bhi hai dil par nishan humare
Janhapar pade the wo tere kadam
Ab roshni me kyu ye ghutta hai dum
Ab roshni me kyu ye ghutta hai dum
Ab kabar sa lagta hai mujhko palang
Mein jub bhi chalta hun kadam ye mere ladkhadte
Mein pita gum me tere sab sharabi hain bulate
Hum haske milte sabse par gumo ko hai chupate
Mein jitna pana cahun fasle ye badhte jate
Nah haal pucha tune mera kese keh dun theek hun
Mein dikhta thoda sakht tu to janti mein weak hun
Paane ki tujhko koshishon me itna hun bhatak gya
Afsos hoga mujhko zada jo tu mujhko mil gya
Har jagah se mein block hun yaadein bhi krdo block
Dil to tera patthar hai kyu ban rhi ho soft
Sitare tute dil tha tuta choota tha jab saath
Bijali chamki aansu barse rukke chalti saans
Mein krta khud se baatein ke tum kar rhi yaad
If I were you and you were me tum khudko deti maar
Khamoshi cheekhey mujhme mere bikhre rehte baal
Ab ghadiyon ki bhi chubh hai in kaano me aawaz
Mein sehma sehma rehta jub bhi aati teri yaad
Mein tanha tanha rehta ake dil pe rakh do hath
Khwabon me hi khwabon me hi akar betho pass
Mein neend se na jagun jub tu khwabon me ho sath
Mein sehma sehma rehta hun jub aati teri yaad
Mein tanha tanha rehta ake dil pe rakh do hath
Khwabon me hi khwabon me hi akar betho pass
Mein neend se na jagun jub tu khwabon me ho sath
Shayad ye mujhme ab bhi tera saya hai
Subha ka bhoola tu ghar hi na aya hai
Ghar dil ka tujhse na khali karaya hai
Khud hi gya na tu maanga kiraya hai
Tarifien krta na hoti burai hai
Tu daulat si na mere hisse me aai hai
Mein anpadh sa baccha tu mehngi padhai
Mein kaidi hun yaadon ka de do rehayi
Jaana hai jaana hai duniya se door
Milta hai janha per dil ko sukoon
Galat aur shi na hota janha pe
Milunga mein tumse fir usi janha me
Tum geeta ho meri tum meri quran
Mein tum bin adhoora tum hi mera gyan
Milna tum mujhse fir se pehli baar
Mein sab kuch bhulake kar bethunga pyar
Mein karun kese hota hi nhi nazarandaaz
Mein sunne ko hi betha tha na di tune awaz
Tu mere liye sabse pehle or mein sabke baad
Bas yaadein hi reh jati hai sab kuch khone ke baad
Or galti se kabhi tujhe aayegi meri yaad
Mein barish banke barsunga na bujh paegi pyaas
Jo milta hai aasani se wo lagta na hai khaas
Par khoya tumne wo hai jo na paegi talaash
Mein sehma sehma rehta jub bhi aati teri yaad
Mein tanha tanha rehta ake dil pe rakh do hath
Khwabon me hi khwabon me hi akar betho pass
Mein neend se na jagun jub tu khwabon me ho sath
Mein sehma sehma rehta hun jub aati teri yaad
Mein tanha tanha rehta ake dil pe rakh do hath
Khwabon me hi khwabon me hi akar betho pass
Mein neend se na jagun jub tu khwabon me ho sath
Shaitan bhi ake betha tha kal kandhon pe mere
Wo kehta hai mujhko ki ab wo lekar jaega
Betha hai farishta mere aake pass me
Wo bhi tere jesa haske fir kho jaega
Gale lagega mujhse jo bhi sunlega ye daastaan
Par kese tere baare bolun mein jo krta payar tha
Ab darta na hun mein zara bhi kuch bhi khone se
Jub tu nhi to kyu darun mein kuch bhi hone se