LyricFind Logo
LyricFind Logo
Profile image icon
Lyric cover art

Tum Hi Tum

Apple Music logo
Deezer logo
Spotify logo
Lyrics
Tu aankhon ko padh ke zara
Jo dil mein hai keh na saka
Le honton se naam Mera
Kar de Zinda mein mar sa gya

Wo baal rakhti straight
Meri zindagi ni straight
Wo kyu na Aae pass me
Kya Rifle mere hath me
Hun tuta Tara aasma se
Girna hai zameen pe
Jhooth kehte log
Pariyaann rehti ni zameen pe
Ye Jhooth kehte log
Pariyaann rehti ni zameen pe
Honthon ka wo kala til
Wo Dil ko mere karta kill
Hai dhadke mere seene me
Wo lagta mujhko tera Dil
Aankhon se tu leti jaan
Zulfien teri chumme Gaal
Mein jhoot sunna chahta hun
Puch le tu mera haal
Tu paani banjaa pyaasa mein
Tu pesa ban kamata mein
Tu rishwat banja khata mein
Tu zakham de seh jata mein
Dil mera dhadak gya
Me kashmash me pad gya
Tujhe dekh sakht londa
Barf sa pighal gya
Tujhe dekh sakht londa
Barf sa pighal gya
Tu jadugarni jadu krti
Krti mujhe kabu mein
Bin baat ke hun muskurata
Rehnta na mein kabu me

Tu aankhon ko padh ke zara
Jo dil mein hai keh na saka
Le honton se naam Mera
Kar de Zinda mein mar sa gya

Mohalle wale tere mujhko Ashiq hi bulate hain
Jane kyu wo mujhko tere naam se bulate hain
Ibadat krna Sazde krna karni teri bandgai
Mulazim hun me tera Jisko tankhwah hi mili nhi
Bachpan me suni thi jo bhi pariyon ki kahaniyan
Sharmane lagta jub bhi tumko dekhta hai aaina
Tum mehnga ek khilona Or Mein middle class baccha
Door se dekhna tumko Mujhko lag raha accha
Dua mein tum dawa mein tum
Wafa mein tum saza mein tum
Nashe me mein Or Mujhme tum
Ho mere tum ye keh do tum
Ho mere tum ye keh do tum
Jnha mein dekhun tum hi tum
Jnha mein dekhun tum hi tum
Ho mere tum ye keh do tum
Ho baarishon ke din Aur bijali kadke zor
Tu Darr ke bhaage mere pass pakde mujhko zor se
Ab hichakeeyan or siskiyan mein leta tere naam ki
Mein Mandir maszid jake dua maangu tere naam dua ki

Tu aankhon ko padh ke zara
Jo dil mein hai keh na saka
Le honton se naam Mera
Kar de Zinda mein mar sa gya

WRITERS

Ravi Yadav

PUBLISHERS

Lyrics © O/B/O DistroKid

Share icon and text

Share


See A Problem With Something?

Lyrics

Other