Tha ye shahar kabhi sapnon ka ghar
Kitne kadam karte the is manzil ka safar
Kiski lagi nazar, na jaane kya hua
Hawa hai dhuan-dhuan, pani bhi zehar hua
Kabhi mehakta tha har mausam yahan
Kho gaye wo sab rang ab kahan
Kaise chala ye silsila, na jaane kyon hua
Hawa hai dhuan-dhuan, pani bhi zehar hua
Wo raushan shaamein muskaati thi subah
Ab poochhte hain ujale jaayein hum kahan
Ye shahar yu khaamosh, na jaane kab hua
Hawa hai dhuan-dhuan, pani bhi zehar hua