Khud ko main dekhu ya main dekhu tujhe
Hosh sambhalu ya main jane du ise,
Roku main khud ko ya roku tujhe,
Julfe sawaru ya main girne du inhe,
Tu jo chhu le mujhe aise sanam
Khud ko sambhalu ya bikharne du ise
Chhipti cankho se, yun nazarein jhuka ke dekhna tera
Bin kuch puche, khamosh hoke tera
Teri ye harkat na jeene de mujhe
Bolu main khud ko ya bolu tujhe
Teri ye aankhe na le dube mujhe
Bachaun khud ko ya Jane du ise
Tu jo dekhe mujhe aise sanam
Kuch main na dekhu ab main dekhu tujhe