Khaali panne ko bharne ki koshish hai
Sooni raato me sone ki zaroorat hai
Milkar baatein karne ki chaahat hai
Nahi hoga ab pyaar dubara
Tujhpe hi to khatam tha saara
Mere khayalo se chale bhi jao
To sapno me bhi na nazar aao
Saare phool bhi dekho murjha gaye
Hamari kabr pe daale the jo khushi se tumne
Ki Mudkar afsos bhi nahi hua
Tujhse to ho bhi gaya pyaar dubara
Kese kia ye sikha ja yaara
Nahi hoga ab pyaar dubara
Tujhpe hi to khatam tha saara