Mai LADKA hu badaa ummedon pe khada
Duniya ne kosa par hasana ni choda
Apno ki khaatir hu duniya se ladaa
Dhad se mai gira or fir se hu doda fir kyu?
Chod ke jhaate nahi rishte nibhaate yahi
Ghar to chalana hai ghar mera chota
Paise hai kitne ye kisko batana hai kise samjhana ?
Ab karta ni baat beet gyi raat
Choti bahan puche bhai hai kya baat
Maayus tu rahta nahi tha pahle
Or hansna hansaana hi teri thi jaat
Raat maine dekha tujhe aankh teri nam thi
Kaali syaahi gaalo pe kyu aankho pe ni thamati
Papa maare taane unaki bhi kya galti
Tu bhi sun chup chaap Maa bhi to sunati hai
Bhai tu rona nahi gamon me sona nahi (gamon me sona nahi)
Duniya ka kona nahi jahaa naam tera hona nahi
Bhai tu rona nahi gamon me sona nahi - yea yea
Duniya ka kona nahi jahaa naam tera hona nahi - yea yea
Rote nahi hum sote nahi khote nahi hum
Hote nahi gam kisne kaha ?
Ek jhoot ladaki ka so sach ladake ke
Dono barabar hai ye hi sazaa hai
Razaa hai logo ki mai sunake hairaan
Saare Murdon ki tarah jaise samshan
Me aan me maan me antar ni malum
In logo se Accho mai kutto ko paalu haa
Me baitha vo Shaitaan vardaan deta jo kaal ka
Tujhse safed to kova vo daal ka
Jaal me apne hi fansate ho jaare
Raakshas-Devata kon tumhare ?
Mandir or maszid me dhoondho khuda ko
Or khuda hi baitha hai andar tumhare haa
Bhai tu rona nahi gamon me sona nahi (Gamon me sona nahi)
Duniya ka kona nahi jahaa naam tera hona nahi
Bhai tu rona nahi gamon me sona nahi - yea yea
Duniya ka kona nahi jahaa naam tera hona nahi - yea yea