Kon h guru aaj puchu ye sawaal me
Kya maqsad guru ka jab anpad ye samaaj h
Kya unka roop kesa mooh kya akaar h
Vo bana swach iraado se bhagwaan ka prashaad h
Vo diya jata sabko krte log qadar na
Vo diya jwala deta gyaan ka tu jal na
Rakhde haath upar hoga tujhe dard na
Tu chaahe khaali daulat shiksha se bada koi dhan na
Unke pero ki h dhool me vajood mera
Jo tujhse door skta toot tab mazboot me na
Ye baat h true mera guru hi guroor mera
Seekhu har ek cheez se me guru yaha pe roop me laakh
Beghar log ne sikhaaya mol makaan ka
Sarhad pe Jo shaheed sikha gye vo azaad kya
Jo mare bhuk mari se de gye seekh anaaj kya
Anaath bacha de gya seekh mujhe k maa baap kya
Me general caste se vo sikhaa gyi samaanta
Covid ki aapda sikha gyi mol ek saans ka
Zakham se ubhar k nidar hokr kya jeena
Mujhko ye sikha gyi jinpr vaar hua tezaab ka
Me kahu seekhlo jo sikhata sansaar ye
Panchi bole seekh na udna tu Aasmaan me
Sapne sab dekh kyuki jaane na prakaash netr
Logo k yaha kaafi kaate zindagi andhkaar me
Me apni kala k bhi aage krta sajdaa hu
Na likhu geet itihaas ko me rachta hu
Sabhi adhyaapako ko mere mera shukriya
Me maan kr sabko aina sahi raah pe har chalta hu
Balaatkaari de gya seekh mujhe haiwaan kya
Vo Kamre kota k sikha gye bojh qitaab ka
Akeli ladki sikha gyi ki dar kya hota raat ka
Pseudo feminist sikha gyi usage instagram ka
Aadar pranaam mera yaha sabhi teachers ko
Me khada pero pe aaj aap hi to reason ho
Mujhe to mauke diye kaafi saare aapne
Jo bhatku agar raasta me chaahu aap fir vision do
Unke pero ki h dhool me vajood mera
Jo tujhse door skta toot tab mazboot me na
Ye baat h true mera guru hi guroor mera
Seekhu har ek cheez se me guru yaha pe roop me laakh
Fauji ki maa sikha gyi hota intezaar kya
Ek baap ki daant sikha gyi hota asli pyaar kya
Vo ghar ki roti sikha gyi ki hota swaad kya
Ek shishu janma naya sikha gya mujhko muskaan kya
Zindagi sundar kyuki haar me bhi jeet h
Jo baate gyaan samaaj me kya us se badi cheez h
Me seekhu aaj taaki seekhe mere bache kal
Har guru hota shishya pehle yahi asal reet h
Hn jis se mil jaye seekh zindagi me vahi guru
Kya rakha jaat me kya ram islam kya vahe guru
Sabki h shiksha ek to kyu alag kathayein chunu
Me vyasth araadhna me faaltu khataaye bhulu
Jo seekh sikhaati haar vo sabse zyada Mehtvpoorn
Me seekha itno se na sabke baare keh saku
Guru ke chehre mere ek na anek
Aaj baant saka un sabko aapke saath is baat me h sukoon
Unke pero ki h dhool me vajood mera
Jo tujhse door skta toot tab mazboot me na
Ye baat h true mera guru hi guroor mera
Seekhu har ek cheez se me guru yaha pe roop me laakh