Jagarha ty oka I got roots in qabail
Sharr se bacha, minal khubsi wal khabais
Inki baatein hain athhayis
Ye same team se chookein with enabled friendly fire
Inko jaibon mein ghumaun, aur bolun pocket-friendly
Inke characters banaye, liye features call me Stan Lee
Mein Stan nai par mera laal joota dekh
Laal jhanda hai, torhun tera bootha mein
Mein buddha, phir bhi desires hi na mitein
At Nirvana, fir bhi Sapphire chahiye mujhe
Warna ghuss k phatt k kass k khul k andar bahar opar neeche
Nasheman e qasr e sultani
Dahir hoon mein rakho bin qasim ko apny paas
Mujhe chahiye VIP pass barabar mein houn IG saab
Meine dekhe nai hai khuwaab phir bhi hoon tum sabka baap
Phirbhi mein, sabse alag lekin nai hoon bilkul khaas
Tum soch bhi nai sakty mere hissay mein jo paap
Mera bank account lage inko jese pawnshop
Meine ragarrh k bnaya sar py rehte kaam shaam
Ab mere weekends rahein khaali mujhe karni pills pop
Jagarha ty oka I got roots in qabail
Sharr se bacha, minal khubsi wal khabais
Top class munday bethe chikein marijuana Tirawal
Channels mere karachi se peshawar, Yehn City - Narowal
Addhi addhi raat bethay kaar o baar
Munda tuada badtameez, badtehzeeb
Koi nai rees, bhaago shaaba godspeed
Boye meine seeds, jo ugg k puray pairh banay
Shaakhein inki mujh py jhukki, kaise mere agy kharhe
Laut k jo ghar na aye, kaise phir woh mere sagay
Jungle ka qanoon bhai bhai ko hi thagay jese
Galay milein, mein na milun, gullible hain bola tha na
Gullible nai asal mein ye galay ka ek phandda hain
Baray banein, izzat karun? payable tou thukega na
Har feyl k paisay hain tou izzat bhi ek dhanda hai
Back to what I was doing, haath mein ek danda hai
Jhanday ki hai kami aa k lag jao uss py lehraunga
Fatah kar k scene bhi mein faateh na kehlaunga
Fateha mein parhun inke maray huay careers py
Pictures ko ban karo, yahi inki shariat hai
Shartiya ye lagein saari dunya ko chutiye
Ganay inke naaqis tou mazhab ki taraf chal diye
Ye half assed rappers mere lun wun se wese bhi
Son wun kia karun ye tou majlis mein bethe hain
Dars wars tum suno mujhe das verse abhi likhnay hain
Har verse lagay akhri, har verse py dumm niklay hai
Aur phir woh deta mohlat dekh phir hum mic py kharhe hain
Ye uski nai hai deyn, tou hum kalakaar kiun banay hain
Jagarha ty oka I got roots in qabail
Sharr se bacha, minal khubsi wal khabais