Yaad bhi kabi Kiya na tune
Saath bhi Mera diya na tune
Dil se khelna Teri aadat hai
Elzaam bhi kabi liya na tune
Wada kar kay mujh se kahein aur nibhatay ho
Keh deti hain ankhein sub tum Jo bhi chupatay ho
Mujh ko rulla kar jesay gairon ko hasatay ho
Dil yeh Jala kar Mera tum jashn manatay ho
Aisa bhi na peyar Kisi se ho jaye
Youn na Kisi ki yaad mei koi kho jaye
Din Sara yeh guzray jis ki baton mei
Wo zaalim khud Raat ko chain se so jaye