Kyun le hum dukh ka theka
Aadhi zindagi kati ghum mein baaki toh bol tu kaise kaatega
Ghum toh sabke zindagi mein maza bhi toda gumshudi mein
Ghum ghum ke khud ko dhunde kamal bhi ugta gandagi mein
Jaane ki baat na apni hai
Beech ke din jo mile hume jo karna hai woh khud se hai
Karma hai tera jo tujhe hai paana usse tu pa hi le
Na soch kya sochegi duniya na unke daakhile
Bhoolegi kal jo aaj hua sikhaegi woh jo kabhi na hua
Cheen legi tujhse jeena tera aur kahegi tu hi kamina bada
Ghum toh sabke zindagi mein maza bhi toda gumshudi mein
Ghum ghum ke khud ko dhunde kamal bhi ugta gandagi mein
Ghum toh sabke zindagi mein maza bhi toda gumshudi mein
Ghum ghum ke khud ko dhunde kamal bhi ugta gandagi mein
Kis kis ko apni dukh bhari kahani jaake kahega
Legi maza duniya tera gham tera koi na baatega
Dukh mein tere maze unke dosti ye banke tujhe bechege
Teri chinta na kisi ko jo bhi hai tera sab le lenge
Jhuk ke nikal phir se sambhal tere dukh ka tu hi hai hal
Kaam kar khud pe ban tu avval baras sab pe jaise badal
Duniya teri jo tu tera jo tu hi toh andhera
Kaise rokega tera savera maar ke unko mana dasheera