Barson baad gaaon mein, raat ke aakhri pehron mein
Darya se aane wali lehron ke shor ko aaj sochte hain toh thak jaate hain
Main neend ko thapki de kar sula deta aur tum subah ki kirnein muthi mein band kar ke le aati
Dono aik doosre ke haath thaamay baaghon ke tamaam phoolon mein rang taqseem karne chal jaatein
Aur tumhaare har aik qadam par aik sitaara chamak uthta
Tumhaare honay se sooraj aur chaand mein dilkashi thi
Tumhaari hatheliyon se subah ki kirnon ne haraarat li
Aur aankhon ki putliyon se roshni
Lekin tum ne, soch aur aqal ke daairon ko radd karte hue
Pasdaari ke saahilon par ungliyon se rait ko aese bichaya hai
Baad—az—tumhaari shaadmaani yun maand pari hai
Jaise puraani qabron ke katbon ke huroof
Sadiyon ke guzarnay ke gawaah hotay hain
Aur apne pyaaron ke muntazir
Jin par baarish ke qatre bhi
Peechhe chhori hui na—farmaan aulaad ki tarah
Faqat apne waqt par un katbon ko chhootay hain
Baad—az—tumhaare mere sukhan se bhi mazaaq hota raha
Aik shab kisi farishte ke paron par
Tumhaare naam ki ghazal likhi
Ab dil yeh chahta hai mujh se mera saaya bhi juda kar diya jaaye
Kabhi chup kar jhaankoon toh
Saaya bhi hamaari baatein suntā hai
Khaali mai ke pyaalon mein bhi zindagi ki bheek nazar aane lagi hai
Ab tumhaare khayaal ki aziyyat ka yeh aalam hai
Ke rooh fariyaad karti hai
Kaash ab hum haqeeqat mein juda ho jaayen
Jaane aesa kya hone ko ja raha hai
Yunhi nahi bas ronay ka mann chah raha hai
Aansu chum rahe hai nakhun pairon ke
Dil andar se thamta thamta ja raha hai
Aik Aik tinka kar keh bandha tha ghar ko
Wohi parinda chor keh ghar ko ja raha hai
Paas ke logo bhi bas ab dur se taktay hai
Be—waqti sa raag waqt ab ga raha
Waqt khafa hai, dur gharonda, nange pao
Apna saya ulti simat ja raha hai
Maaf karo takseer meri, mein khaki hu
Juray hoye haathon mein waqfa a raha hai
Mujhe ab dar sa lagta hai
Hai aesa dar keh jis mein yun mujhe mehsoos hota hai
Meri aik baat sun lo tum keh shayad akhiri ho baat
Mein shayad Marne wala hun
Puranay sabhi chehray ab meri khuwab mein atay hai
Mujhe tanz se taktay hai, khassa muskuratay hain
Kabhi lagta hai yun jaise hain andar ki hi parchayi
Mein aankhein kholta hun, neend say yun dar keh uthta hun
Mujhe lagta hai yun jaise mein shayad marne wala hu
Mujhe khwaabo se nafrat hai, mujhe sonay nahi dete
Keh jin se pyar tha hum ko, sabhi hai kooch kar baithay
Toh jeena kis liye ab hai, faqat aik khana daari hai
Mujh pe ehsaan kardo tum, mera aik kaam kardo tum
Mein shayad marnay wala hun