LyricFind Logo
LyricFind Logo
Profile image icon
Lyric cover art

Tumhe Dikhta Kyu Nahi?

Apple Music logo
Deezer logo
Spotify logo
Lyrics
Dekho kaise pagal tumhare liye tumhein dikhta kyun nahin
Khada hai woh chaand aur sitaare liye tumhein dikhta kyun nahin
Lehron ke jaise kinaare liye tumhein dikhta kyun nahin
Sehra mein jaise baharein liye tumhein dikha kyun nahin

Subah aankhein khole dekh khwaab tera
Kare wait din bhar tere reply ka
Tujhse milne ko ye mara ja raha hai
Soche saath baithein peene ek cup chai ka

Dekho kaise pagal tumhare liye tumhein dikhta kyun nahin
Khada hai woh chaand aur sitaare liye tumhein dikhta kyun nahin
Sehra mein jaise baharein liye tumhein dikha kyun nahin
Lehron ke jaise kinaare liye tumhein dikhta kyun nahin

Tumhein jab bhi thi zarurat sab kuch chhod ke wo wahan tha
Usey lagta hai ke shayad sach tha jo bhi tumne kaha tha

Par sach toh yeh hai

Jiske hain itne sahaare liye tumhein dikhta kyun nahin
Sahi kya galat hai tumhare liye tumhein dikhta kyun nahin

Dekho kaise pagal tumhare liye tumhein dikhta kyun nahin
Khada hai woh chaand aur sitaare liye tumhein dikhta kyun nahin
Sehra mein jaise baharein liye tumhein dikha kyun nahin
Lehron ke jaise kinaare liye tumhein dikhta kyun nahin

Ye aasmaan zameen pe laa doon
Zameen ko aasmaan bana doon
Magar tumhe jhootha zamaana dikhta kyun nahin
Na jaane ki mai sau wajah doon
Mai chahe khud bhi aa ke kehdoon
Magar tumhein mera nibhana dikhta kyun nahin

WRITERS

Aman Moroney, Sudipta Biswas, Pin Drop Music, Shaurya Saxena, Mihir Thatte, Darshan Desai

PUBLISHERS

Lyrics © IPRS

Share icon and text

Share

See A Problem With Something?

Lyrics

Other