LyricFind Logo
LyricFind Logo
Profile image icon
Lyric cover art

Khwabeeda

Apple Music logo
Deezer logo
Spotify logo
Lyrics
Khwabeeda aankhon ko tum sonay do
Khwabeeda aankhon ko tum sonay do
Hota hai duniya mein jo honay do
Khwabeeda aankhon ko tum sonay do
Rehnay do naadaaniyon mein
Un jhooti kahaaniyon mein
Raatein ginti ki mili hain
Lamhon ki rawaaniyon mein
Hota hai duniya mein jo honay do
Khwabeeda aankhon ko tum sonay do
Khwabeeda aankhon ko tum sonay do
Na mera laagay jee
Dil ki baaton mein bhi
Duniya ki bandishain haan ranjishain ban jaayen gi
Kya paisa joray ga
Gar duniya choray ga
Kya hain woh qeematain jo qismatain khul jaayen gi
Jo taara hai bujha woh raasta kaisay bataaye?
Kal tu ho ga nahi, kal ki fikar phir kya sataaye?
Rehnay do naadaaniyon mein
Un jhooti kahaaniyon mein
Raatein ginti ki mili hain
Lamhon ki rawaaniyon mein
Hota hai duniya mein jo honay do
Khwabeeda aankhon ko tum sonay do
Khwabeeda aankhon ko tum sonay do
Qaatil teri adaalat
Faazil teri jahaalat
Aadhi har bezubaan ki daastaan reh jaaye gi
Har suu hai chup ki aahatt
Sargoshi, sarsaraahatt
Dar hai meri zubaan aatishfishaan ban jaaye gi
Jo khud hi gumshuda woh rehmuma kaisay bana hai?
Woh kaisa baadshah jis ne khud hi khud ko chuna hai?
Rehnay do naadaaniyon mein
Un jhooti kahaaniyon mein
Raatein ginti ki mili hain
Lamhon ki rawaaniyon mein
Hota hai duniya mein jo honay do
Khwabeeda aankhon ko tum sonay do
Khwabeeda aankhon ko tum sonay do
Khwabeeda aankhon ko tum sonay do
Khwabeeda aankhon ko tum sonay do

WRITERS

Shayan

PUBLISHERS

Lyrics © O/B/O DistroKid

Share icon and text

Share


See A Problem With Something?

Lyrics

Other

From This Artist