LyricFind Logo
LyricFind Logo
Profile image icon
Lyric cover art

Ghazlain (feat. King EF)

Apple Music logo
Deezer logo
Spotify logo
Lyrics
Ghazlain toh likhte hain kafi
Idher dekhe bikte hain kafi
Har gunah ki milti na mafi yeh bachay
Yeh kaise liptengay saafi
Han hotay hum dikhne pe razi
Toh dikhte hain unko jaise gadafi
Khuda ka darr par in logon se toh
Hum na bey dartay zara bhi

Kholunga mazi toh darega tu
Band karo jani yeh kahega tu
Katunga unko mein izat se jani
Par tab tak toh shayad hi rahega tu
Kab tak ab mujhse sarega tu
Girega phir kese larega tu
Mehfil mein beth meri tu bete
Ghut ghut ke dhuain mein marega tu

Mein toh vibe dene wala shair hun
Pichle ganon mein dikha mein mahir hun
Jo mein karta kam usmein wahid
Seekhunga wekheen mein jab tak retire hun
Tu bhi dekh dekh dekh mera style bhae
Likhai dope par yeh deti hai dikhai nai
Ghum mein humne zindagi bitai bhae
Jo tuney sikhi batain mujhe na sikhae gayee

Kro baat mere kam ki
Baat 2 saal pehle baat us sham ki
Jab woh launde atay mein kehta unko
Baat mjhse kilo ki karo na gram ki
Pura din khush par raat lagay aam si
Woh kehte ke jani achi reech tere naam ki
Yeh jo chup chaap agay jarha hun me
Yeh nishani hai ke anay wali aandhi

Hip hop ko agay leke janay wala factor
Unit hai toh pohonch beta sector
Kon mojojojo kon idher dexter
FIR se love letter better gangster
Dill phenk nai dill cheerta
Ab muntazir na mein heer ka
Shagird mein meer ka
Mera daur jaise waqt taweel sa

Khel khel mein agay hun sabse
Pail pail ke hi bhagay ho kabse
Hum khush bhi toh rehte in gallion me
Tum chakkar laganay atay ho jabse
Mujhe lagta tha hastay thay mujhe
Woh muskuratay hain kabse
Mangi duaien hain rab se
Baki kalla se bharay hain bastay

Larengay agay hum laray hain dut ke
Atay phir ghr hi parindey woh bhatkay
Jo manga hai haq tha manga hai haq se
Tum batooni larne walay nai lagtay
Har khilta sharabi nahi hai
Wese khilna kharabi nahi hai
Woh jo gaye toh samjhe khatam
Milli humein toh azadi nahi hai

Ganay toh likhte hain kafi
Idher dekhe bikte hain kafi
Har gunah ki milti na mafi yeh bachay
Yeh kaise liptengay saafi
Han hotay woh dikhne pe razi
Toh dikhte hain unko jaise gadafi
Khuda ka darr par in logon se toh
Hum na bey dartay zara bhi

WRITERS

Sheikh Tariq

PUBLISHERS

Lyrics © O/B/O DistroKid

Share icon and text

Share


See A Problem With Something?

Lyrics

Other

LyricIQ Analysis

Top Emotion

Anger

Sentiment
Thumbsup IconThumbsdown Icon
Theme

Coarse Language