Baatein vo teri jaadui thi magar
Unn baaton ko jab bhi main yaad krta to has deta hun
Jaane na tune kya kiya tha asar
Asar tha, farebi thi, kya tha, sawaal main ye krta hun
Shayad dil hi tha bhatka hua
Gaflaton ko teri main samjha tha mera
Jaali mohabbat ki zaroorat ab nahin
Zaroorat thi asli mohabbat ki jab tune ki khudgarzi
Sir pe chadhane ki maine galti kri
Utara to samjha ki us hi mohabbat mein tu bigdi thi
Ankhein khuli jab meri to mujhe pata chala
Ki wo haar nhi, tujhse bichadke jeeta main tha
Khwaishein kri thi, khwabon mein tha uljha hua
Gafalaton ko teri, main samjha tha mera gumaan.
Baatein jhuthi saari, waade jo kiye they khaali
-pan ko woh tere bharne mein hua wakt zaya
Yaadon ke bharose mein likhe jo lafz the vo
kaagazon mein hi chipe the bole dobaara