Maine kuch waqt me jaana hai
Bina bataye jaa raha hoon
Kyunki aakhri baar main tum sab ko
yeh geet tumhe sab bata dega
Meri rag rag se waaqif kara dega
Agar na rahoon main iss duniya mein
Waada hai mera Laut kar aaonga Zaroor
agar chhod jaun tumhe iss duniya mein
Fir ghumenge wo aadhi raat mein
fir pikar jhumenge saath saath mein
Meri sab cheeze sambhal kar rakhna
waapas bhi to aana hai maine
Bas mat rona mere jaane pe
Wahan se dekh ke mera dil bhi Royega
Kya tum chahte ho dil bhi mera Roye
Nahi Na . Nahi Na. To tum Rona Mat
Jo tumhare Gham main sahna chahta tha
Par Lautunga….Par Lautunga…Par Lautunga Zaroor
Saare Gum Tumhare Le Jaonga Main
Bas Meri Maa ko Sambhal lena tum
Bahut Pareshan ho jaayegi wo
Tera Laadla Lautega Zaroor
Agar Na rahoon main iss duniya me