O Naari Tu bechari khud ko maanti hain
Shakti khud hi hoke naa pehchanati hain
Aage badhane ki sochi bhi agar jo
Woh jo badh naa paati khud se
Mere sau taano ke piche darr ke
Bahar se dikhati zindaa par
Khud hi khud ke dushman banane ka shauk hain Jo Toh main kya karu
O Naari Tu bechari khud ko maanti hain
Kadam tu yuhi badhaye jaa
Koi roke to aankhe dikhaye jaa
Teri jung ye duniya se to nahi
Khud se bi tu ye jung mai jeet jaa
Jo bole zamana usse bolne de
Teri raaho pe kaante bi boo lene de
Himmat se bas tu yun aage to badh
Teri ladaiyaan tu bas yuhi ladh
Ruk par kabhi bi na peeche tu hatt
Ruk par kabhi ye na zuuke nazar
Ruk zara dekh piche hai ye zamana
Ruk zara inko bi tu raah dikhana
Duniya ki baato pe naa gaur kar
Duniya ki lagne de tu nazar
Maa kabhi, yaa kabhi behen,
Yaa toh biwi banke rishta nibhaya hain
Ye bata kya tune kuch bhi kamaya hain
Pucha, jab ye tujhse, hain kya ukhada tune
Fir bhi , uss ghadi kyu, tune naa jhaada usko
O Naari Tu bechari khud ko maanti hain