LyricFind Logo
LyricFind Logo
Profile image icon
Lyric cover art

Marham

Apple Music logo
Deezer logo
Spotify logo
Lyrics
Bezubaan ankhiyon ne dekha yahi
Gehraaiyon mein milti, zindagi meri
Dard bhi awaz de
Berukha mai raha
Dil ke panno ka, har ek manzar mein
Likhta jaoon teri ore
Kholoon raaz woh, sabse chupaaye jo
Mera tan bheege
Lehron ke beech mein jab
Yeh sukoon hai, yeh junoon hai
Zakhmon pe marham yahi
Baadalon pe aasmaan hai
Par be-zameen sa main udta hoon
Ab dil aage aage bhaage
Aage aage bhaage
Peeche mere yaadein
Yaadon ke woh dhaagein
Kabhi baandhe yeh mujhko
Kabhi mai usko baandhu
Aakhir dono choot gaye
Saagar ke aage
Oh maahiyaa, tu zariya
Kaali kaali zulfon mein
Khoyi hai nazar meri
Teri hasi ban gayi raahein
Jab ghamon ka saaya ho
Teri khushboo se aahe bhare
Tere bina soona soona laage
Kho gaya tera nishaan
Kho gaya tera nasha
Kho gaya tera vaasta
Par gehraayi mein
Hai sukoon hai, hai junoon hai
Zakhmon pe marham yahi
Baadalon pe aasmaan hai
Par be-zameen sa main udta hoon
Ab dil aage aage bhaage
Aage aage bhaage
Peeche mere yaadein
Yaadon ke woh dhaagein
Kabhi baandhe yeh mujhko
Kabhi mai usko baandhu
Aakhir dono choot gaye
Saagar ke aage
Oh maahiyaa, tu zariyaa

WRITERS

Tejas P

PUBLISHERS

Lyrics © O/B/O DistroKid

Share icon and text

Share


See A Problem With Something?

Lyrics

Other