LyricFind Logo
LyricFind Logo
Profile image icon
Lyric cover art

Tu hai kahan (Reply version)

Apple Music logo
Deezer logo
Spotify logo
Lyrics
Na badh sakien jo tum to
Ham bhi thehre aashiqui mein
Main akhiri wo patta
Reh gaya jo shakh hi mein
Han teri aas hi main
Dekhti ti thi raah bhi mein
Karwan ye gham farosh
Dard hi tha wapsi mein

Qalam se dard kar bayaan
Tujhe bulayenge
Hath tham tera haal
Phir batayenge

Fakat ke ya to esa ho tere ho jayein ham
Jo tere na hue khuda ke ghar ko jayenge

Jo dekh paate dil mein
Hote kya ilzaam koi
Thak chuki hain ankhe
Jese sukha dariya koi

Puchta hai mujhse pura mashra ye ab
Puch le jo baki reh gaya sawaal koi

Par jawab bol dun mein tujhko
Tujhse pehle
Kardo asmaan hawale jism mera ab ye
Hunn bejaan meri jaan ghar ye bin tere
Mashaan
Sun ye dard ki awaz mujhko tham bhi le

Chaal kya chalu wo jisme tujhko haar dungi
Tere pyaar ki kasam mein sab ye waar dungi
Tujhe pasand jo na ho raabta mera kisi se
Mein teri ho ke puri zindagi guzaar lungi

Kya khwab mein hi jaan tere ham
Ho sakte hain
Esa ho to sari umr ham bhi
So sakte hain

De bata tu mujhko ek hi wajah
Mein us wajah pe
Zindagi ye apni puri tanha hi guuzar lungi

Meri mohabbato ki intehaan kya yaad nahi ye
Kiya kya kuch na teri khatir
Par wo baat nai ye
Tu chahe bewafa le maan mera rab mera
Imaan
Tujhse pyar kitna bas yahi hisaab nahi ye

Kitni ratien nam thi ankhein
Tune tab nahi tha dekha
Tujhse mili jab bhi aake
Muskuraake tujhko dekha

Hasne ka zikar to khair chorein ab

Ek arse se in ankhon ne tujhe nahi jo dekha

Aankho ne sada tujhko di hai
Kahaan hai tu
Yahaan kyun nahi hai
Dil ko hai janna ab to yahi bas tum chale aao
Tu hai kahan
Khwaabon Ke Iss Shehar Mein
Mera Dil Tujhe Dhoondhta Dhoondhta
Arsa Hua Tujhko Dekha Nahi Tu Na Jaane Kahan Chhup Gaya chup Gaya

WRITERS

Aadil Rizvi

PUBLISHERS

Lyrics © O/B/O DistroKid

Share icon and text

Share


See A Problem With Something?

Lyrics

Other