Han karne ko badi choti batcheet
Uthayi apne haath me maine kalam
Han kyunki bandook se to bair bade
Aur bair ke anjaam hai bane zakham
To kagazo me karta hun mai kaat peet
Maar peet yahi likhne ke mere chaal chalan
Han khudse karun behes lagi raiti haar jeet
Haar seekh deti, faadti mere bharam
Haraam se kaafi karam kiye maine zamaane bhar
Gulaab se bhare chaman barsaat me hue khatam
Ban beef khule aam kyu bike mutton
Rakh sabar sun aaram se mere sanam
Jo allah pe na maano kaafir kahe musalmaan
Aur naraaz hote hindu keh do ram na bhagwaan to
Unki naraazi dekh rahun na azaad kyo?
Mere sawalo se zaruri unke jazbaat kyo?
Band zabaan kyu? rahun chup chaap kyu?
Unki abaadi dekh rahun khada maun kyu?
Mai bolunga to marunga fir aisa paalun khauf kyu?
Jiyun mai jeete jeete maut kyu?
Sabka maalik ek to fir itni saari kaum kyu?
Allah kyu? ram kyu? han itne saare naam kyu?
Jaat kyu? paat kyu? hai khooni bante haath kyu?
Karma pe maane to fir dhone jaate paap kyu?
Dharm ke naam pe hi dete log daan kyu?
Dharm ke naam pe ye lete log jaan kyu?
Aman ki baate karke dogle bartaav kyu?
Aise khokle dharm inka karun na apmaan kyu?
Han mai bhi tere jaisa maas ka insaan hun
Han mai bhi tere jaisi ek zinda jaan hun
Par teri soch meri soch me hai fark bohot
Fark bani doorie is baat se naraaz hun
Wo kehte aisa mat keh, lagega tujhe paap
Par ab to mujhe kisi paap ka dar nahi
Maine aastik hoke bhi to kiye paap kitne chalo
Nastik hoke aakhri ek aur sahi.
Kya pata saari kayenaat hi ye swarg bas
Dharmo se isse par banaya hamne nark hai
Koi chahe jannat koi behtar agla janam
Mann ke dilaase saare zyada nahi fark hai
Mai bas puch ye raha hun tum bina rooth ke
Majboot se saboot to lao aur bhaang khao
Par ye beech me bhagwaan na lao.ya zeher piyo aur
Dhatura zara khaa ke batao fir khade reh ke dikhao
Barabar saare dharm to mai ek me kyu maanu?
Ya ek inme sahi to mai kaise wo pehchanu?
Ya sab ke sab galat to mai sach kaise jaanu?
Kabhi kabhi lage khud ke liye dharm ek bana lun?
Khud likhun apni geeta aur quran mai
Aur waqt ke saath unme karun fir badlaav mai
Sikhun jo jaanu uske bal pe karun kaam mai
Khud karun taye kaise jiyun apni jaan mai
Mere akele ka bas mere imaan me
Khud ka mai rahun khuda, khud ka shaitaan mai
Ya meri marzi jitne bhi banu kirdaar mai
Ye gaaun jab gaane khudko kahun kalakaar mai
Jitni bakwaas hai, ye jitne fasaad hai
Khatam karun mai jo bhi lage ye vivaad hai
Kalam se likhun usse maanu hathiyaar mai
Le hathiyaar jag me karun jihaad mai
Jitne zabaan se mere nikle alfaaz hai
Han bas abhi itni muraad hai
Kehne ko kaafi kuch hai mere is dimaag me
Par choro rehne do aaj baaki ka baad me